Aaj Hai Naya Saal... Poem by Tapashya Das Sinha

Aaj Hai Naya Saal...

Rating: 3.5


Aaj hai naya saal,
Samajh na paau mai
Bole meri khushi ya gam,
Kaise karu mai bayaan?
Hoon pareshaan mai ye soch ke
Kya hai mere desh ka haal…
Aaj hai naya saal,
Shayad koi aatanki
Boon raha hai aaj
Maut ka naya jaal…
Is naye saal mein,
Kaun banega apna dhal?
Hoontho pe liye angeenat sawal,
Bechain hai ye dil
Kaisa hoga ye naya saal…
Aaj hai naya saal,
Charo oor chhayi hai
Khushiyoon ka umang
Aur
Sangeet ke taal,
Kahi magan hai log
Vanbhoj ke aanand mein,
To kahi,
Nashe mein choor sharaabi
Kar rahe hai mastii bawal…
Aaj hai naya saal,
Aaj hai ek naya shubh aarambh,
Kya hogi khushal?
Apna ye naya saal…
Kisse karu mai ye sawal?
Magan hai aaj sabhi,
Naye saal ke jashn mein,
Kyu ki;
Aaj hai naya saal…
Aaj waqt ne naye saal ko dastak di hai,
Aaj samay ne naye saal ko nyota di hai,
Aaj aaye hai ye saal
Hamare Atithi banke,
Padhare hai ye saal
Hamare mahemaan banke,
Aanjan hoon mai,
Kya laya hoga apne sang wo tofa zindegi ka,
Ye naya saal khud, dakiya banke…
Aaj lage badla badla sa,
Samay ke waqt ka chaal,
Beeten toofano ko bhul ke aaj
Magan hai khushi mein duniyaan,
Kyu ki;
Aaj hai naya saal…
Hai meri dil ki dua,
Na ho aab wo,
Jo pahele hua,
Na aye wo bhuchal,
Jo degaye wo beeten saal,
Buss ho ullas bhara ye saal
laye khushi,
Dilon mein shaanti,
Aur bhaicharon ki haansi
Sang apne ye naya saal…
Rahe aabaadh hamara desh,
Bane har din ek naya saal,
Aao aaj milke jhoome
Kyu ki,
Aaj hai Naya Saal,
Aaj hai Naya Saal! ! !

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success