Aaj Aur Kal Poem by Farooq Jamal

Aaj Aur Kal

aaj dekho, aaj kya hai, shaayad kal ka aaina
aaj suno, kya hai kahaani, kal shaayad itihaas ban jaaye
aaj jo hai, wo tumhaare saamne hai, kal wo beet jaayega,
waapas nahi aayega
aaj apne saamne haqeeqat dekho, aaj hi sapna
kal shaayad tum sapne na dekh sako
jo baat dil mein hai, aaj hi keh do, kal kuch na keh sakoge
aaj ki galiyo mein jao, kal ek naya mod mil sakta hai
aaj raah par niklo, kal manzil mil sakti hai
aaj jo sooraj chamak raha hai, kya pata use kal na dekh sako
aaj karo apne aap se ek sawaal, kya badal sakoge ye duniya
kal ka intezaar mat karo...
waqt nahi karta kisi ka intezaar, to tumhaara kyun karega
aaj hi le lo har faislaa, aaj hi har vaade poore karo...
har faislon par amal karo, , ,
kya pata kal kisi aur ka kaboo ho jaaye, tumhaare faislon par
aaj ka aaj karo, kal par bharosa mat karo

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success