Bera paar karo-neta ji ko

Dete hai duhai janata ko is baar mujhe uddar karo
Chunaw me aake khara huaa hoo mera bera paar karo
Sukh dukh me mai aa karke jale pe namak lagaya hoo
Jitane the mere ladbaddu sab ko maal khilaya hoo
Ab aa bhee o kathin ghari mere bhee to kalyaan karo
Dete hai duhai janata ko is baar mujhe uddar karo
Chunaw me aake khara huaa hoo mera bera paar karo
Is baar agar mai jeet gaya is jile ko swarg banaaugaa
Apane desh ke bachcho ko free me padhawaugaa
Pichhali baato ko bhool kar meri vinay swikaar karo
Dete hai duhai janata ko is baar mujhe uddar karo
Chunaw me aake khara huaa hoo mera bera paar karo
Pahale ke jitane papi the unako maine hi paar kiya
Mere peechhe rah karke logo ne logo ko sanghaar kiya
Ab unhi ke sir par taaj mera meri baato ka maan karo
Dete hai duhai janata ko is baar mujhe uddar karo
Chunaw me aake khara huaa hoo mera bera paar karo
Is baar minister ban mai gaya to galat raah ko chhorugaa
Jitane hai seedhe saadhe sajjan unase naataa joroogaa
Is vaade ke saath pyaare meri baato ka dhyaan karo
Dete hai duhai janata ko is baar mujhe uddar karo
Chunaw me aake khara huaa hoo mera bera paar karo

shambhu nath

http://www.poemhunter.com/