Aurat ki dastan///hindi Gajal
Gajal
Doha: Garibo ka jag me gujara nahi hai
Prabhu ke bina kuchh sahara nahi hai
……………………………………
Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya
Par diya gam kisi ko kisi ko hasaya
Ek aurat ki suno dasta sachchi kahata
Pati jinda raha bimar wah hardam rahata
Pati ki bimari me wah dhan our daulat bechi
Sara jewar suno samman malkiyat bechi
Ek din rat me pati kaha bula karke
Thanda pani to lao kahi se ab ja karke
Nari pani ko gayi pati ne dam tor diya
Aaj dunia se suno nata baba tor diya
Nari jab aayi jivit pati nahi paya hai
Ro kar aawaj tabhi prabhu ko sunaya hai
Kisake gale se bhagwan mujhako lagaya …
Par diya ………………..
Akeli lash liye pati ko jalane chal di
Dhadhakati jwala apane dil ki bujhane chal ki
Pahuchi jab ghat upar chita jyo rachati hai
Apane haatho swayamb pati ko jalati hai
Sham ka vakt tha chita lagi bhabhakane
Ek sadhu aaya fir laga wahi tarapane
Sadhu baba ne kaha suna ghat mera hai
Lash hata le fauran hamara dera hai
Kisake kahane se yaha chita ko rachayi hai
Suno nari fir ro ro karke yahi sunayi hai
Pati ke sat se yaha chita ko rachaya
Par diya…………..
Nari fir ro kar kaha lash na uthaugi
Bina jalaye huye pati ko nahi jaugi
Sadu baba ne kaha jal ko badha dunga tab
Nari ro kar kaha hantho par jala lungi tab
Sadhu baba ne suno jal ko jab badhaya hai
Jalati huyi lash nari haath pe uthaya hai
Kahate kavi hai ye bhagwan ki maya
Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya
Dunia me bhagwan ne sab kuchh banaya
Par diya gam kisi ko our kisi ko hasaya
shambhu nath
http://www.poemhunter.com/
|